...

3 views

Ab kuch bacha nahi...
khatam hui mohobbat, karne ko ab kuch bacha nahi......
bah gya Ishq ka dariya, phir bhi gam ka parda hta nahi.....
ki mareej-a-ishq mai tha, sja mujhe mili.....
mila jab mai mohabbat se, to meri zindagi khili.....
kasoor mera tha, uski koi khta nhi.....
khatam hui mohobbat, karne ko ab kuch bacha nahi.....
ki guroor bahut tha mujhe, meri mohobbat par.....
kahta firta tha sabse, uss Vishwas ki dor par.....
itne dino anjaan rah kar, ab dikha uska asar.....
dooba tha mai itni gahraaiyon me, na thi mujhe koi khabar.....
ab nahi hogi mohobbat kbhi, milegi koi sja nahi.....
khatam hui mohobbat, karne ko ab kuch bacha nahi......
bah gya ishq ka dariya, phir bhi gam ka parda hta nahi.......
© nainshi anand