...

3 views

man kr rha aj kuch likhne ka...
Man kr rha aj kuch likhne ka,
khayalo ko kagaj par utarne ka,
dil me vari sb batoon ko, lafzo ka akar dene ka,
par ye kambakt kalam chal kaha rahi,
kalam me siyaahi bharu to sahi,
itni batein dil me umaad rhi , unhe aj likhna h,
siyahi ko kalam se kagaj par rakhna h,
man me aye vichar kuch choot na jae,
siyahi milne tak sabd sare bhul na jae,
likhne ka man to tha,
par likh na ska,
apne vichar kehna to tha,
par keh na ska,
kv kv socha kam ni ho pata waqt par,
ache sabd aur vichar aur v aaenge sabr kar,
ye dilasha khud ko de mai so gya,
mere vichar man me hi kahi kho gya,
Man kar rha aj kuch likhne ka,
khayalo ko kagaj par utarne ka....

- by Sneha Bhadra


© Sneha Bhadra