...

37 views

Zindagi ki Taqdeer
Taqdeer badaltey hai apne rashtey
hatho ki lakiron me likh jatey hai
hastey hastey

maut se bhi khaufnaq sacchai
puri ho ke bhi jo pyar adhuri reh gayi

najaney kyu woh dil me bas jata hai
jo kismat mein nahi
najaney kyu woh zindagi me basta hai
jo dil me nahi

Taqdeer rachati hai ye sazish
ki pyar ho jaye
janey anjaney me
ek dusrey ki jaan ho jaye

aur phir khun se bhari
dard se mulaqat ho jaye
mil ke bhi jo ek dusre se bichar jaye
aur phir mil ke bhi keh na paaye

rashtey alag rishtey alag
phir bhi dil machal jaaye
kehna chatey hai wo bohot kuch
bhaley hi wo dardnak sach ho
ya ek haseen jhut

zindagi to bas yuhi chalti hai
ek alag morh pe ek alag bandhan me
nayi nayi khwab bunni padthi hai
unhi purani akhon me

phir kisi morh par
ussey mulaqat hoti hai
magar ish bar dil me bhalehi
wo pyar nhi
par chehrey pe ek muskaan
zaroor hoti hai..............







© Sayani_das