...

11 views

traveling of difficulty in studies
bya kr rhi hu us baat ko
Jo kbhi preshaan krti thi mere dil or dimag ko
Aaj bhi vo yaad satati hai mere jehen ko
Baarvi ka vo visaye Naam tha jiska arthsaastra
Vaise to yahi pahuchata unati ki ur desh ko
Pr Uske pathyakram ke bram ne uda diya tha mere din or raat ke chain ko
Sukar tha rab ka bheja jinhone farishta bna ke ek mam ko
paaya tha us becheni ne thode sukoon ko
Samjhne lagi thi us visaye ki saari padayi ko
Jagaya mam ne mere andar ke chipe utsaha ko
Ache numbero se kr paa rhi thi paas uski saari parikshao ko


Bya kr rhi hu us baat ko
Jo kbhi preshaan krti thi mere dil or dimaag ko
Achanak aayi Khushiyo ki barsaat ne bhingo diya tha mere hr gam ko
Pr Badl diya ek question bank ne jhatke bhr me mere saare armaano ko
Jb pathyakram ka ek nya andaaj mila tha hme dekhne ko
Phir badhi muskil se man ko kiya tha raaji en samasyao ke hal dhundhne ko
Khub khoj been ke baad lgi thi haath kuch or kitabe
Pr aram nhi mila tha meri saari uljhano ko
Kuch sawal hmesha goonjte reheate the mere kaano me
Chalati rhi kosiso ke silsile ko
Or ek nyi aasha ke saath badhati rhi apne kadmo ko


Bya kr rhi hu us baat ko
Jo kbhi preshan krti thi mere dil or dimag ko
Jaa chuki thi mam bhi chod kr school ko
Bna liya dheere dheere atmanirbhar khud ko
Pr dubara aayi muskil ne muje majboor kr diya tootne ko
Mai tyaar nhi thi es jang se apni haar maanne ko
Paar kiya maine hr padav ko
Or pahuch gyi mai board ki priksha wale kamre me
Paper asaan tha pr abhi bhi intzaar kr rhi hu result aa jaane ka
Ab saant hai dil ka hr kona kyuki jo aayega vhi mere liye sch hoga

Bya kr rhi hu us baat ko
Jo kbhi preshaan krti thi mere dil or dimaag ko