...

8 views

mai chhota hi thik hu
#WritcoPoemChallenge
The door to tomorrow,
Opens in the shadows of today,
So brush aside the path of sorrow,
And make your way
Mujhe ped nahin banna
Main paudha hi theek hun,
Kad me uncha nahin to kya
Ghar ki sajavat ka hissa theek hun,
Nahin fal aur chhav de saka to kya
angan ko khushbu se mahakaane wala pushp hi thik hu;
Aapke jawab mein juban Na kholu
Main bezubaan baccha hi theek hun,
Nahin chahie mujhe kuchh bhi
Ghar ka pyara khilauna hi thik hu,
Bada hokar Na samajh nalayak Na ban jaaun
Main aap ke Aanchal se lipta hua ,vo baccha hai theek hun,
Din bhar mobile mein Dhyan rahata hai
Main kahaniyan sunkar Sone wala ladla beta hun,
Daulat Shohrat mein pagal hai duniya sari
Main aapko pakar hi theek hun,
Mujhe bada nahin Banna maa
Main Chhota hi theek hun
ye duniya mujhe nii bhati maa
mai aapki hi duniya me thik hu