...

17 views

Waiting for Diwali...😅
Kuch iss tarah haal hota hai yahan sabhi ka...
Maa ke ladle ka papa ki pari ka...
Pahle jeete the khane ke liye...
Yahan khate hai jeene ke liye...
Wahan Maa ke aanchal me sona...
Yahan future ki tension me sisakiyan le lekar rona...
Yaad aata hai wo din bhai bhno se lad kar khana...
Ye dil chahta hai un dino me bas ek bar aur jee pana...
Wo bhai se ladai, bahan ka sath...
Papa ka pyar aur Maa ki daat...
Wahan mummy ki fooli roti...
Ab mess ki jali roti...
Gayi rakhi aur navratri...
Papa call me kahte ab to ghar aaja beti...
Wo ghar ke kono me bhi apnapan...
Yaha ki diwaron ka akelapan...
Pahle 7 din bhi ghar se door na rahte kadam...
Pta nii kaise 7 months door rah liye ham...
Ab to bas tera hi hai intezaar...
Jldi se aaja ab diwali yaar...

© poetry pitara