...

6 views

Ghar
#MyConceptOfHome

Bachpan me teacher padhate they...
ache se yaad h mujhe.....
Home or house me kya difference h....

Ghar se bahar aye to maloom hua....
with e.g. ki ghar Ghar jesa kese hota h...

Ghar ka matlab sabhi ko pta h
Jahan ek tarha se humare gharwalon ke hone se
usme humari Jaan basti hai....

ghar jate hi sab yaadein taza ho jati h
achi buri jaisi bhi...

Ghar me jab koi mehman ata h tab kya mahol banta h
humko tab kaise cheese jyada dhyan se btayi jati h
koi rishtedaar ati h ya bachpan ke dost to kya mahol banta h

kabhi barish hoti h or light chli jaye
to kaise sab ek kambal me dubak jate h
or antakshari, chor sipahi, dever bhabhi
jaise khel ek dusre ko or kareeb late h

Kaise sabhi bhai behn
ladte jhagadte h... ruthte h.. hum to Bina mnaye
hi ek dusre se baat krne lag jate h...
kyunki bhool jate h ki kiss baat pr lade they
or agr yaad aa bhi jaye toh tab tak uska mehhtav khatam ho jata h

Ghar ka eklota main sadasya meri Mata
Jo Hume pyaar pyaar se tane sunati h
dusro ke bache pyaare or hum shetan hahaha
pr abhi bhi mujhe unki dant pasand h... din nahi gujarta unki dant sune bager

Ghar ke second important sadasya mere pita ji papa
kabi danta nahi pr jo ek baat keh do vo zindagi bahar ka sabak ban jata h.... unki muskan hi kafi h

mere liye wahi Ghar ka mehatav h jahat sab saath rehte h
ladayi jhagra Khushi dukh ye sab .... Jahan parivaar naam ata h
or jahan humen sabka acha Bura malum hote huye bhi
rehna ata h

hum khud ko ya kisi ek ko supreme nahi mante
Jahan meri Mata dekhati h ki koi kesa bhi kyun na ho
tumhe use chor khud pr kaboo rakhna ana chahiye

isse bda concept or kya ho sakta h .... bohot kuch h ghr ka matlab samjhane ke liye
lekin ye poem to bani nahi
iss par bhi kahani si hi likh di mene

pasand aye to apni zindgi ke pal jeena Gharwalo ke sath or samjhna tajurba jaroor milega.. .. .. 🌼✨