...

22 views

bachpan aur tum
Sardi ki dhoop
garmi ki shaam
Patang ki dor
aur khula aasman
Nanhi Aankhen
aur dhero armaan

Aaj mujhe jaane kyu bachpan yaad aaya hai
Jaane kyu bachpan se sirf tu hi yaad aaya hai

Baarish ka paani
aur gadhho (potholes) mei chalang
School se chutti
aur teri bas ek over (cricket) ki maang
Nayi nayi sharartei
aur baatei utpatang

Aaj mujhe jaane kyu bachpan yaad aaya hai
Na Jaane kyu bachpan se sirf tu hi yaad aaya hai

Woh dekh ke mujhe yu tera chipna
aur chip ke phir darana
Roz roz tang karna
aur phir baar baar mananaa
Kabhi chidhaana kabhi rulana
Baat bebaat mazaak banana
Aur phir zor zor se hasna aur hasaana

Aaj mujhe jaane kyu bachpan yaad aaya hai
Na jaane kyu bachpan se sirf tu hi yaad aaya hai

Aankhen ab kuch murjha si gyi
Yaadei bhi ab dundhlaa si gyi
Bachpan toh piche kahin choot gya
Par tu kyu hamesha hamesha ke liye rooth gaya

For my brother who I have lost physically but he is still alive in my heart.


© gary