...

4 views

Tanhayi !!!
tanhayi baut pasand hai mujhe
koi gum nahi hai mujhe
bus dil ke sunnepan ko
aabaad kar skti hun
kyuki
tanhayi baut pasand hai mujhe .....

suna hai vo chup chup kar rota hai
chora bhi jisne khud he tha
MOVE ON keh kar gaya tha jo
aaj tanhayi mein siskiyaan bharta hai vo
par....
humne na jaate ko roka na aate ko roka
haan...
tanhayi baut pasand hai mujhe
viraane mein rehna kaboola hai maine...

sochta toh hoga vo
ek kashmakash bhi hogi uske dil mein
kaisi hun mai? kis haal mein jee rahi ?
pachta toh vo bhi raha hoga kahin
par....
usko kya maaloom
ab koi gum nahi hai mujhe
na aansu chalakte hain
na siskiyaan bharti hun
na hi dil mein tees hai
na udaasi hai mujhe
bus....
tanhayi baut pasand hai mujhe
haan....
viraane mein rehna kabool hai mujhe.
© divyasingh