...

2 views

โ€œ๐™๐ˆ๐๐ƒ๐€๐†๐ˆ ๐’๐„ ๐ƒ๐Ž๐Ž๐‘: ๐ƒ๐€๐‘๐ƒ ๐Š๐ˆ ๐Š๐€๐‡๐€๐๐ˆโ€
๐™„๐™จ ๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž๐™ฉ๐™– ๐™ ๐™š ๐™™๐™ฌ๐™–๐™ง๐™–, ๐™ ๐™–๐™ซ๐™ž ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™ž ๐™จ๐™ค๐™˜๐™ ๐™ ๐™ค ๐™ซ๐™ฎ๐™–๐™ ๐™ฉ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™š ๐™๐™ช๐™ฎ๐™š ๐™ฎ๐™š๐™ ๐™ ๐™š๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž ๐™ ๐™ž, ๐™ž๐™ฃ๐™จ๐™–๐™–๐™ฃ ๐™ ๐™–๐™—๐™๐™ž ๐™ ๐™–๐™—๐™๐™ž ๐™ฏ๐™ž๐™ฃ๐™™๐™– ๐™ฉ๐™ค๐™ ๐™๐™ค๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž, ๐™ฅ๐™–๐™ง ๐™ฏ๐™ž๐™ฃ๐™™๐™–๐™œ๐™ž ๐™จ๐™š ๐™Ÿ๐™ช๐™™๐™– ๐™ข๐™š๐™๐™จ๐™ค๐™ค๐™จ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž. ๐˜ฝ๐™ž๐™ฃ๐™– ๐™ ๐™ž๐™จ๐™ž ๐™œ๐™–๐™ก๐™ฉ๐™ž ๐™ ๐™š, ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™–๐™ช๐™ง ๐™–๐™ ๐™š๐™ก๐™–๐™ฅ๐™–๐™ฃ ๐™จ๐™š ๐™œ๐™ช๐™ฏ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™š ๐™๐™ช๐™š, ๐™ฌ๐™ค๐™ ๐™–๐™ฅ๐™ฃ๐™š ๐™Ÿ๐™š๐™š๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™– ๐™ข๐™–๐™ฆ๐™จ๐™–๐™™ ๐™ ๐™๐™ค๐™Ÿ๐™ฃ๐™š ๐™ ๐™ž ๐™ ๐™ค๐™จ๐™๐™ž๐™จ๐™ ๐™ ๐™–๐™ง๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž, ๐™–๐™ช๐™ง ๐™ฎ๐™š๐™ ๐™จ๐™ค๐™˜๐™๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž ๐™ ๐™ž ๐™ ๐™ฎ๐™– ๐™ฎ๐™š๐™ ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™๐™ž ๐™ช๐™จ๐™ ๐™ž ๐™ฏ๐™ž๐™ฃ๐™™๐™–๐™œ๐™ž ๐™ ๐™ž ๐™–๐™จ๐™ก๐™ž ๐™ฅ๐™š๐™๐™˜๐™๐™–๐™–๐™ฃ ๐™—๐™–๐™ฃ ๐™œ๐™–๐™ฎ๐™– ๐™๐™–๐™ž.


Zinda hoon, par zindagi se juda sa hoon,
Aaj kyun itna majboor aur akela hoon?
Dil mein sawaal hai, jo chubhte rehte hain,
Bina galti kiye, yeh sazaa mili kyun hain?

Zehar sa lagta hai yeh dard ka raaz,
Har raat mein chhupa ek ajeeb ehsaas.
Khamoshi se baatein karta ek khayal,
Aankhon ke aansu se, har khwab behaal.

Zindagi ki deewaron pe udaasi ka rang chhaya,
Saath mein khauf ka ek bechain sa saaya.
Naye jazbaat, naye dard ka paighaam hai yahaan,
Sahi aur galat ka faasla lagta hai adhura yahaan.

Us waqt ke dard se, shayad maut ka talooq hai,
Har din, mein yehi ek sawal karta hoon,
Bekasur hoon, ye hi meri zindagi ka raaz hai,
Khud se bhi, apni galtiyon ka hisab leta hoon.

Har subah ek naye iraade ke saath aati hai,
Har shaam purani yaadon ko chhod jaati hai.
Agar zindagi mein ek nayi raah hai kahin,
Toh is dard ke safar mein, kyun ek ajeeb junoon hai?

Jism se rooh tak ek ajeeb si chhalang hai,
Har khushi bas ek dhundhli si parchhai hai.
Yeh safar hai ya ek intezaar ka silsila hai,
Kya yeh dard hi, zindagi ka asli rang hai?

Bistar par guzri har raat, ek nayi kahani ban jaati hai,
Har dard, ek purani yaad dilaati hai,
Yeh khel kya hai, kyun saansein rukne ko tayaar hain
Zinda hoon, magar zindagi se door hoon, aur yehi meri sachai hai.

Naye dard, naye zakham, har din ek nayi dastaan hai,
Majbooriyon ki raaton mein, ek nasha khaufnaak hai,
Mujhe yeh saza kab tak aur kaise sehna hai?
Zinda toh hoon, magar kya yahi dard mere jeeney ki pehchaan hai?

Har pal ek nayi pariksha, khaufnaak sapna lagta hai,
Zinda toh hoon par jeene ka maqsad ab adhoora lagta hai hai.
Kis se kahoon, kis tarah se samjhaoon, apni zindagi ki yey dastaan ko,
Yeh ajeeb sa sawal, zindagi ka gumnaam raaz lagta hai.

โ€œ๐™•๐™ž๐™ฃ๐™™๐™–๐™œ๐™ž ๐™จ๐™š ๐™™๐™ค๐™ค๐™ง, ๐™™๐™–๐™ง๐™™ ๐™ ๐™– ๐™ง๐™–๐™–๐™ฏ ๐™ ๐™๐™ช๐™ก๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ,
๐™ƒ๐™–๐™ง ๐™ฅ๐™–๐™ก ๐™ ๐™– ๐™Ÿ๐™ช๐™ฃ๐™ค๐™ค๐™ฃ, ๐™ฃ๐™–๐™ฎ๐™– ๐™Ÿ๐™–๐™ฏ๐™—๐™–๐™–๐™ฉ ๐™Ÿ๐™–๐™œ๐™–๐™ฉ๐™– ๐™๐™–๐™ž๐™ฃ.โ€


- ส™ส สœแด€ส€แด…ษชแด‹ แดŠแด€ษชษด. ยฉ
ยฉ Hardik Jain