...

2 views

Kahin Na Kahin 🌼
Kahin Na Kahin II1II

Usse mera rishta kuch lamho ka hai
Jisme unkahi baaton ka ehsaas hai....
Par uski zindagi jeene ke har palon mein
Kahin na kahin thoda sa main bhi hota hu.

Use ab subha suraj ki kirano ka satana
Aur hawa ka khidki se dastak dena accha lgta hai...
Shayad un kirno aur behane wali hawa mein
Kahin na kahin thoda sa main bhi hota hu.

Use ab humesha ki bhagdaudbhari zindagi mein
Kuch der sukoon se thehrna achha sa lgta hai...
Shayad uske wo khudke sath beetaye palon mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Uska ab baarish se kuch gehra rishta hai
Paani har bund use ab rooh tak mehsus hoti hai...
Shayad uske aakhon ke samne aasman se girti bundo mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Use ab pahadon se kuch khas rishta mehsus hota hai
Waha ki khamoshi aur udasi use bhati hai...
Shayad waha ki aawaz aur uske sunepan mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Use kabhi kabhi aaspas ki bheed kuch nahisi lagti
Doston ke sath wo muskura toh leti hai par...
Shayad jab wo akeli hot hai tab us akelepan mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Use ab kahaaniyaan aur kavitayein aur acchi lagti hai
Kyun waha ke kirdar hume dusari duniya mein le jate hai...
Shayad us kirdar aur uske kalpanaon ki duniya mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Use ab mujhse thodi si narazgi hai
Kyun ki maine humesha dooriyaan hi rakhi...
Par uski us shikayat karti nam aakhon mein
Kahin na kahin us mulakat mein hum dono ka zikr hai

Duniya ki nazar mein hum ekdusare ke liye anjnabi hai
Sirf aakhon se humara rishta bohat gehra hai....
Shayad jaise do badalon ekdusare milte hai
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

Use mera milna aakhon ki ek pahelisi lagti hai
Wo aakhein mujhe ek ''precious secret" jaise dekhti hai...
Shayad raaton mein nindiya ne dikhaye huye khwabon mein
Kahin na kahin thoda sa mera zikr bhi hai.

© Parthasarathi