...

25 views

Vo shaks......to nhii
Dikha to hai chupa to nhi
Ruka to hai Gaya to Nahi

Kyu itna mushkil hai alwida Lena
Mohabat hai bus khuda to nhi

Unhe kehne do bewafa hai sab
Unke kehne se kya hota

Dilo Mein yaadein Jo Judi hai unse
Wafa hai tumhari gila to nhi

Kyu mazbori ke rishte ko nibhana zaruri hai
Woh bus ek hissa hai tumhara sara jaha to nhi

To ab maan bhi jao ke ji logo tum
Zindagi hai tumhari koi saza to nhi

Usse Jane do Jo Jana chahata hai
Manzil door hai tumhari dagmagaya hosla to nhi
© Z@in@b~