...

2 views

Kitaabon Kei Khalam ..🌹🌹

Har ek roti kei tukdei par bhook ka ahsaas likha
Thaa yu ..
Anjaan raaston par ...ek mehfill ka caarvaan
Judaa thaa yu ...

Kuch Ahsaano kei baatein zarb kei khanjar
Utaari seenei mei ..

Dhandkan chubhnei Lagee ..
Mei samandar ke tarhaa....Dard ko zappt
Kartei kartei...

Ashkon ka Ashiyaana honei Lagee.

Wo galiyaan aur khushbu ..Siyaahee kei Lamhein
Band darwaazo mei sonch ka saamaan
Purana thaa ...

Do niwaalei mere hissei ka rizkh ...kissei
Aur kei Ghar kaa khana thaa ....

Nazaron ke hayaa merei daaman ko
Parei rakhtee
Jo zinaah kee raahein yu bepardaa honei chalee..

Ek zindagi daulat waalee..Jaise Ishq mei
Shaahi baahein bas khiltee Kali...

Haath kyun maangei merei chandd rupiyon ka Sawaal Wallah ...
TU dekhta Kya hai ...ek Karishma dhoodtee
Hu bechain ...

Madadd ko pukaaru ...Ya Allah ....

Kahin likhdei tere arsh pei ek duaa
Jo mohabbat Maang gayee

Dard ko raahat chaahiyei ..

Tanha Dil ko dhadaknei ..phirsei ..
Ek Dil Ka sukoon chaahiyei ...

Mei fanaa Karu khud ko ibaadat..mei ..
Reit ka Samandar ...kyun Paani Kam thaa ...

Mere hissei kee Khushi mei ..kyun
Kiseei aur ka Haq Zamm thaa ...?

Khamosh raaton mei pukaaru ..
Jaisei koe Nazar lag gayee...

Ek Raani sei ....ranjhish ke kahaaniyaa
Suntee...
Mei Sadak ke dhool Bangayee...

Kahaan chupta ...sawaalo ka ghubaar ..
Aur kitnaa Dard ....Bataa....

Kehtei hai ..TU Khuda Hai ...kaayeinaat
Ka.....
TU kahaan hai ...bas Ye bataa ... 🌹🌹
















© Afshi khan