...

5 views

Itna asaan thodi na hota hai....
Itna asaan thodi na hota hai usse door jaana jisse beinteha mohabbat hoti hai.....

Bohot dard deta hai wo lamha jo unse juda hota hai
Bohot takleef deti hai wo khushi jo unse bandhi hoti hai
Bohot jyada dard deta hai wo akelapan jo sacchi mohabbat ka tohfa hota hai
Bohot hi dard deta hai wo dil jo unka ho chuka hota hai.....

Itna asaan thodi na hota hai usse door jaana jisse beinteha mohabbat hoti hai.....

Itna asaan nahi hota hai apni khwaisho ko maar dena
Itna asaan nahi hota hai apne dard ko sametkar jeena
Itna asaan nahi hota hai apne aapko dard mein dubolena
Itna asaan nahi hota hai apni mohabbat se door hokar tadapna...

Itna asaan thodi na hota hai usse door jaana jisse beinteha mohabbat hoti hai....

Dard mein bhi duniya ke saamne muskurana padata hai
Jeene ki khwaish khatam kar maut ke intezaar mein roz marna padata hai
Unki yaado ke saath apne dard ko lekar zindagi mein aage badhana padata hai
Apne dil o dimaag aur zehen mein unki yaado ko bharkar roz maut ki duwa maangani padati hai....

Itna asaan thodi na hota hai usse door jaana jisse beinteha mohabbat hoti hai...

Janaab hum maanate hai ki sacchi mohabbat ka tohfa sirf tanhai hoti hai
Magar janaab wo ishq hi kya jismein dard bhare aansu na mile
Wo mohabbat hi kya jo rooh ko chookar use tod na de
Wo mohabbat hi to hai jiske bina insaan adhura sa lagata hai....

Itna asaan thodi na hota hai usse door jaana jisse beinteha mohabbat hoti hai....
Raj.....