...

9 views

Aye Zindagi
Zindagi tu hi roshni
Mere dil - o- jaan ki tu hai chaandni
Zindagi kya maine khata ki
Har jagah har lamha tune mujhe gira diya
Zindagi tu mujhe yeh bata
Ki kya tujhse meri yeh dushmani
Zindagi jo tune diya
Maine has kar liya

Zindagi tu hi mujhse judi
Tu marz hai aur tu hi hai marham bhi
Subah - o - shaam karta raha kaam
Par mera kab hoga woh sapno ka ghar
Zindagi main tujhse naraz nahi
Par phir kyun tu karta hai bedh bhav

Alvida keh diya maine
Un lamho ko jis lamho mein
Main tha pareshaan sa
Ab chal pada hoon
Main ik nayi jagah
Shayad mil jaye mujhe koi humnava
Saath tera aur mera jab tak hai
Tab tak karenge hum koshishe
Paane ko hai saara Jahan
Hum jeet lenge ik din yeh jahan

Zindagi chal tera shukriya
Tune jo diya maine hans kar liya
Zindagi ab dena tu saath mera
Hum jeet lenge yeh saara Jahan
Kuch nahi bachega pachtane ko
Jis din hum dono saath jeetenge yeh jahan
Iss jahan ya phir uss jahan
Aye zindagi meri tu saath dena mera
Mujh mein tu hai
Sab kuch main hoon tujhse
Hi toh main hoon
Baarish hawaae
Din shaam bhi toh mujhse hai
Tujhse juda hoon
Jaise chaand taare
Mujhse tu juda hai jaise aasmaan sitaare
Mujh mein suraj aur mujh mein chaand bhi hai
Zindagi aise hi rehna kareeb mere

Har waqt ka
Har dukh ka
Har khushi ka
Har marham ka
Har dard ka
Jazbaat ka
Har din ka
Har raat ka
Diya tune uss haath ka
Har saath tere mere beech ke lamho ka
Shukriya
Shukriya
Aye meri zindagi chal tera shukriya


© akhil bhatiya