...

6 views

Sarvagya Maa
Wo Dharma jo jeevan ka arambh h
Wo Karma jo jeevan ki shiksha aur anand hai
Us ke Akshar teen arth anek hai
Mere muh se nikla pehla shabd - Maa
Sheeshu ke netro ki drishti
Uski hasin ki khilkari
Uske ashruon ka bahav
Uske Hridya ki anukampa
Uske pehle kadam ka ullas
Jeevan se uski ki pehli bhet
Hai eshwar ki Pratinidhi " Maa "
Maa jeevan ek hai
Kartavya anek hai
Maa hamari pehli Shikshika
Jiski jeevan shiksha a-bhed hai
Jiska Swabhav maano ki registan ki ret hai
Jo nirasha ki aag ko bujhati hai
Aur aashaa ki shitalta lati hai
Jeevan ke har padav ki neev hai wo
Maa kehkar duniya use bulati hai
Mere dard ki cheekh mujhse pehle use rulati hai
Khud apne aansu-on ko chupa kar mujhe chup karati hai
Mere har darr, dukh se wo suraj ban takrati hai
Apne pyar ki kirnon se wo devi jeevan me honsle ka ujala lati hai
Gareebi me, ameeri me, Khushali me , mahamari me
Bina ruke bina kisi viram ke wo sevika roz karya ko ati hai
Pehla nivala santan ko khila apna nivala khati h
Khud ki bhook markar apne bache ki kshudha mitati hai
Annapurna rupi wo nari jag me maa kehlati h..
Khud se zyada us antaryami
Ko apni santan ki chinta satati hai
Maa... Mai agyani kya jaanon teri leela
Tu itna kyon gawati h
Aur mere liye gawakar itni khushiyan wo pati h
Ghor kalyug me tujhe chod jo
Saat samandar par khushiyam manate hai
Ya gehri daulat kamate hai
Apne jeevan me ram jate hai..
Wo paisa to bhot kamate hai
Par jeevan ki shaleenta gawate hai
Kitne ameer ho jae wo par
Dard jb bhi ata hai pehle tera naam pukarte hai
Kitne bhi ameer ho chahe
Tere us doodh ka karz
Us Samparpan ka dard
Jeevan se pehle 9 mah ka dard
Jeevan bhar khushiyon ke liye balidanon
Ka Karz utarne me asaksham hai
Hey maa! Teri har dein anmol h
Tu mere hriday ka bol h
Teri kadr koi samjhe na samjhe
Tu sabke jeevan ka bhoogol hai