...

11 views

Mujhe aj bhi yaad hai wo din......
Wo thand ki mausam thi
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
Jis bar tujhe pehli baar dekha tha
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
Tera us nain mai kaise
atak gaya tha mera nazar
kya khubsurat bhula na deni wali waqt
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
Bhul jaun chahe din ka wo paimana par
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
Kitni khubsurat pal biti hogi zindagi mai,
waise kitni dard bhari pal bhi biti hogi
yaad rahe na rahe wo sare par
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
Kal tu nahi tha,aj bhi tu nahi hai
kalko tu milega ya nahi pata bhi nahi hai
Isliye dard,sukoon ki aj zindagi mai
mera dil jada sochna bhula diya hai
magar us dil ki ek chourahe par
Mujhe aj bhi yaad hai wo din.
© SDC