...

145 views

bhroon hatya
Aaj fir ek aurat ma bani h , Sab khush h ki wo ma bani h,Aur sab yah soch kr kush h ki ek nanha sa rajkumar is duniya me aane wala h☺. Par fir tabhi jaise aandhi si utti aur unn logo ko pata chala ki jo uss garav me pal raha h wo beta nhi beti h😨. Fir kya hona tha sabki khusi ☺ek pal me mano uddashi me badal gyi😔. Fir aaya janm ka samaye sab the hairaan ,sab the pareshan 😦;Sabne kaha isse janm se pehle hi mar dalo. Aur fir aisha hi hua , Aaj fir ek beti ne dam tor. Tabhi maine socha ki kya uss nanhi si jaan ke mann me yah sawal aaya hoga ki wo kyo iss duniya me na aa saki ? Usne puccha hoga apne ma ke garav me hi ,ki meri kya galti thi jo mujhe janm lene se pahle hi kyu mar diya. Kya tumhe mujhse mohh nhi, Kya tumne mujhe apne garav me nau mahino tak palla nhi, kya tumhe iss baat ka dukh nhi, kya mai itni buri hu ki ye duniya mujhe apnayegi nhi ;kya mai bojh hu. Aaj fir ek beti ne dam tora, Aaj fir ek aurat ma bani h; Aaj fir ek arthi utti . 😟😟