...

17 views

wo jo. meri zaat ko acha laga tha
Wo jo meri zat tak ko acha laga tha
Jhoat Tha us main magar Sacha laga tha
Wo jiski batain aksar bechean karti thi
Wo ghair ho k bhi apna laga tha
Wo samjh gaya Tha meray dil ki Har bat
Agar k aqal ka wo kacha laga tha
Uski sharatain khoob hansati thi
Uski harkatain Kitna saatati thi.
Wo apna Tha magar apna he nhi Tha
Jo sath Tha hmara uska sapna he nhi Tha
Wo chahta Tha boht uncha urna
Pyar ka wo mujhy kaacha lga Tha
Wo jo meri zaat ko acha laga tha

Related Stories