Zindagi ki Sachayi
Tumhari woh muskurahat mein bhi hum fidaa hai,
Jismein tum na khush ho..
Tumhari woh jhapkti aankhein jo kehti hai baatein,
Woh bhi samjhna chahun main..
Tumhari har ek ehsas ko apna samjhna hai,
Agar tum kaho toh haathon mein liye haath chal denge tumhare saath,
Agar tum kaho toh Tod denge woh naate bhi jo hai khaas,
Duniya chodh denge tumhare liye...
Kya socha tha...!??
Yahi hogi meri shuruwat
Kya socha tha...!?
Woh sach hai?
Ho gayi Haqeeqat se pehchaan,
Agaye woh rang samne jo chadar mein chipe the,
Jo aaj tak dost dost kehte the,
Woh khudgarz nikal gaye.
Sach kehte hai log
Tanhai Humsafar hai,
Log khudgarz.
Udaasi Humsafar hai,
Khushi ek Musafir.
Waadein tutna sach hai,
Aur nibhana na mumkin.Do chaar mohabbat ke alfaaz mein tum bhi pighal gaye,
Yahi thi tumhari sakhti,
Yahi tha tumhara badlna,
Yahi tha tumhara waqt zaaya karne ka tareeka?
Khud ko qaid toh kar liya pr kbhi khudko badal paaye ho kya?
Mujhe toh aisa lagta hai aaj bhi wahin thehre ho tum,
Bs logon ko yeh dikhate ho ki tum badal gaye.
Sachayi toh kisi ko malum hi nhi,
Tum khud sachayi se bhagte ho,
Unke kahe ko sach mante ho.
Kabhi khudse pucha hai ki kya sach hai?
🦋✨
© Shines