...

3 views

Maana ki hum utne khaas nahi hai
Maana ki hum utne khaas nahi hai
Par jaana hum wahi hai jisne tumhe apna sab kuch maana
Hum wahi hai jisne tumse betahasha mohabbat kiya
Hum wahi hai jisne tumhari surat ko nahi seerat ko chaha
Hum wahi hai jo aaj bhi tum par bina kisi umeed ke marte hai

Maana ki hum utne khaas nahi hai
Hum wahi hai jo aaj bhi khuda se tumhari salamati ki dua karte hai
Hum wahi hai jiski rooh mein aaj bhi tumhari khushboo mehekati hai
Hum wahi hai jo kabhi tumhara waqt hua karte the
Aur jo aaj bhi tumhare ateet ka ek bhoola hua kissa hai

Maana ki hum utne khaas nahi hai
Hum wahi hai jiska dil aaj bhi tumhare naam se dhadkata hai to tumhare deedar se chamakti hai
Hum to wahi hai jo kabhi tumhare waqt guzarne ka zariya hua karte the to aaj tumhare nazar andazi ka shikaar hai

Meri jaan hum aaj bhi wahi hai jiski ibadat tumhari mohabbat hai to zaroorat tumhara ishq hai
Hum aaj bhi wahi laachar hai jiske jazbaat hamesha tumhari yaado ke saamne apna dum tod deti hai... Raj...