...

4 views

Upwan
Bhawar ka kumudiniyon par machalana,
Pushp ke Ghuchhe se sugand ka tahlana.
Shahad ke Chhatron par Bhawaron ka halchalana.
Prakriti ke prem-sambandh ko rachnatmakta deta ye Upwan.
Humare ghar ki aan hai, paramparaon ki baan hai, is hariyali ki jaan hai,
pahchan hai, prakriti ke adbhut saundarya ka.
Ehsas hai, janki ke dard ka, abhiman hai purasottam Ram ka.
Yah mishrit Upwan, ek kitab hai, humare pariwar ke har adhyay ka.
Sukhi pattiyon ka sangit liye, panchchi bhi gate hai yaha hariyali ke geet.
Gilhari bhi karte hai gustakhi, titali aur girgit ke bich.
Koyal bhi gakar sunati hai, yaha prakriti ki anokhi rit.
Billi mausi bhi aati hai isi bich, liye nayano me chuhe ka khij.
Adbhut hai, Avishwashniya, Manoram hai yaha ka har pratik.
Batiyate hai aapas me amrud, aam, jamun aur tut,
Kela, nimbu, aawala ke sangam k anokhi prem-prit.
Sochaniya hai isi bich kunye ki gahrai, pata nahi kitno ki pyash hai bijhai.
Pata nahi kitno ki pyash hai bujhai.

by Om- Prakash