...

0 views

Khamoshiyon ki Gunj~
Woh shaant tha,
yeh naayi baat nahi thi.
Uski un khamoshiyon ki gunj,
aasamne chu chuki hai.

Woh shaant tha,
Yeh naayi baat nahi thi.
Uski khamoshiyon mein bas ek Raaz chupi thi,
Uski khamoshiyon mein bas kuch siskiyan dabi thi.
Logon ne toh uski muskurahat dekhi thi,
par us parde mein chupi Raaz ab bhi chupi thi.

Khule aankhon se bhi sapne dekhe usne,
Ek umeed thi usee yeh abhi bhi.
Hoskta hai yeh duniya badal jaaye abhi bhi,
Hoskta hai log sambhal jaaye abhi hi.
Par jaruri hai umeedon ka poora hona,
Woh toh hote hi tutne ke liye.

Aaj hi dekh lo,
Na kisi ne chote ka lehaj karke narmi dekhayi,
Na kisi ne bade ka lehaj karke narmi dekhayi.
Na jaane yeh duniya kya bann Rahi hai.

Ab toh khauf hai,
kahin yeh Duniya khudgarz na hojaye jaise hum hogaye.

Kabhi socha hai agar Duniya khudgarz hojaye toh kya hoga?
kabhi yeh socha hai jo yeh waadiyan, yeh naadiyan...