...

10 views

Uchi Udaan
Chal ajj ek uchi udan bhar aate hai ...
Purane "khud" se thoda dur chalte hai..
Thoda khul ke has lete hai..
Ye asman hum apni baho mein hi samet lete hai..
Bahe khol ke apne kal ko apnate hai..
Muskurake apne ajj se gale milte hai...
Pitare mein band un sapno ko ..
Halki si umeed ki dhup dikhate hai..
Manjile dur hi sahi..
Par unke rasto par ajj ek sair laga hi aate hai...
Khali pade us dil mein..
Chal ajj thodi khushiya bhar hi aate hai...
Bohot din ho gaye..
Apne aap se mile..
Kuch kadam ajj apni aur bhi badhate hai..
Sawalo ke jaal mein ..
Fase apne aap ko ajj hum ..
Kuch jawabo se wakif karate hai...
Rishto nato se dur..
Kahi yaari ke samadar dhund aate hai..
Kinare rakhi thi jo kashtiya..
Chal ajj fir unme safar kiye aate hai..
Udan uchi hogi..
Wakt bhi bohot lagega...
Lekin dur kahi uche assman mein..
Fir ek humsafar hamara intajar karega ..
Dekhna udan uchi hogi..
Fir sari khushiya lauta ke jayegi..
Maine badal jayenge shayad..
Par muskan vahi purani de jayegi..




© prachi_yawalkar