...

7 views

Tumhari baatein..
Jese samundar ki lehre kinare pe aake shant ho jati hai
Thik ussi tarah tumse milke man ka shor tham sa jata
Tum chahe kitna bhi inkar krlo apni mojudgi ke hone ka
Mein janti hu tum yahi kahi pass ho mere
Chahe koi waja na bachi ho hamare milne ki
Par ab bhi ek mulakat ko ji chahta hai
Tum chahe lakh inkar kar do apni mohabbat ka
Par tumhari nazre har bar mukar jati hai
Kabhi kisi raat jo achanak se tumhara khayal aata hai
To man biti baaton mein kho sa jata hai
Tumhare yaha ki biryani bohat acchi hoti hai suna hai
Kabhi aana hua to le aana thodi si mere liye
Lafz ba lafz to yaad nhi hai baatein tumhari
Par jitna bhi yaad hai woh bohat khubsurat hai bilkul tumsa...
© Z@in@b~