...

8 views

mai kyu tujhse koi sawal karu
aur mai kyu tujhse koi sawal karu?
wahi cheez jo nahi karni kyu baar baar karu?
chal chor mujhe aam insano ke wado pe waise bhi yakeen nahi ,toot jate hai magr
tu wafa na nibhaya toh kyu aitbaar karu
jhuta hai fareb hai kyu na manzil ka khayal karu

agr kahi pe dikh bhi jaate hai ek dusre ko
phir bhi kyu tujhe dekh kar mai yaade taaza karu
nahi nahi jisko toh mohabbat ka meem bhi nahi aata ,
phir kyu uske liye awargi mei shaam karu

wo baatein wo raatein or wo subha
mahez waqt guzarne ke bahane the na
tujhe mujhse nahi ,pyaar milna pyara lagta tha,
phir kyu tujhpe aapna pyaar nisaar karu

chal chor mai kyu tujhse koi sawal karu?
wahi cheez jo nahi karni kyu baar baar karu?
© bintehawwa
#LoveVsDestiny #heartbreak #lettingyougo #Time #questions #Noise #Motivation
#motivational
#letter
#dunya