...

9 views

"BEKAR HAI VO JMAANA......."


Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Or kaale rang ko milta h keval bdsoorati ka aashiyana
Bhul gye log sayd dil ka vo najrana
Gum gya khi radha krishna ka vo prishudh prem ka afsaana
Banta jaa rha hai dheere dheere har ladka jism ki bhukh ka diwana
Toot rha dil se dil ka har rishta-naata
Ejjat ka khyal krna to bahut door ki baat hai yha to koi masoom pr dya tk nhi dikhata
Kamjoro par aajmaa ke apni takat ban rhe yha hajaro dhokebaaj ameer


Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Jo bante hai bachpan me baccho ka sahara
Chod ke chale jaate h aajkal bcche hi unhe bhudhape me besahara
Visvaas ka nakaab pehen kar utha rhe log aajkal auro ki sarafat ka fayeda
Desh ke niyam kanoono ko todhne me junta ko bhi ab kafi maja aata
Pyaar ki bhasha yha ab koi nhi jaanta
Kyuki aajkal to bahuto ko bas gaali galoj or haata paayi ki bhasha se baat karna hi jyada accha lagta
Nek dil walo ko bhi koi yha chain se jeene tak nhi deta


Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera
Paiso ki gandi lat se yha ka ensign to pal bhar me hi heavaan ban jaata
Riswat ki wajeh se desh ki janta ka hak us tak kabhi pahuch hi nhi paata
En jaalsaajo ke kaam me agar koi apni taang bhi adata to use apni jindagi se hath dhona padta
Apne swarth ke liye yha ka ensaan bejubaan jaavaro tak ko bhi nhi bakchta
Bhagwan tak ka dar en ghinone rakchaso ko nhi satata
Esliye sayd es yug ka naam kalyug kehelaata.

Bekar hai vo zamana
Jha hr koi parakhta h ek khubsoorat chehera.