...

112 views

Pinjre ko khol Do
Jungle ki pakshi, jungle me hi shobhe
Unhe purn aajadi milti hai jo vonha
Jab chahe oodti hai pankh failakar
Dur dur ood jati hai gagan ke uspaar.

Kisi bhi ped par baitth jati hai
Mitthe mitthe ,lal pile aur rasile,
Falon ko man bharkar khati hai
Kabhi jharnon me naha leti hai.

Na koi rok tok hai unpar kisika
Jab chahe kahin bhi ood sake,
Chahe to Gagan ko chhu sake
Aur apni marji se ghar laut sake.

Unhe band pinjron me na daalo
Sone ki pinjra bhi nahi bhata hai,
Chahe sone ki katori me pani dalo
Tabhi bhi voh chatpatata hai.

Eisa vevash unhe mat karo
Taki voh fir se udan na bhar sake,
Dur deshon me jakar fir se
Aajadi ka sandesha pahuncha na sake.

Unki apni boli hai jo vohi samajhte hai
Jungle me hi rahna pasand karte hain
Kya milega hame aur tumhe
Unhe pinjre me band karke?

Kya milta hai insano ko
Unhe pinjron me band karke?
Tum aajadi se jite ho aur
Vejuvano ki aajadi chhinte ho
Sirf chhanbhar ki khushi ke liye?

So is aajadi ke avsar par
Khol do sare pinjron ke dwar,
Taki voh aajad hokar jungle laut sake,
Aur tum bhi sachchi aajadi se
Desh ki tiranga phara sake.