...

8 views

kuch pana chahta tha...
zindagi ke panno par
kuch likhna chahta tha
har khushi, har gam inko yaad rakhkar Sab kuch pana chahta tha....

Pata tha
raaste aasan nahi honge
Mushkile Bahut hongi
Phir bhi
Sab kuch pana chahta tha ....

zindagi main haar ka maza
jeet ke maze se
dugna mana kar
khush Hona chahta tha
Isi liye Sab kuch pana chahta tha....

dil aur dimaag main
sapno ki ladayiya hoti thi
ki Kahi ye sapne choot na jaye
Iska dar lagta tha....

zindagi ne diye gaye in panno par
"Sab kuch " ye do shabdh likhkar
in dono shabdo main
Sab kuch Samet na chahta tha....

Na Jane zindagi ki kadi kab toot jaye
Aur
is kadi toot ne se pahle

zindagi ke panno par kuch likhna chahta tha
har khushi, har gam inko yaad rakhkar Sab kuch pana chahta tha.....!!!!!!!

Nikhil Suryawanshi (Niks)
© Niks Suryawanshi