...

4 views

Ham dobara mile...
" Tamaam daleelon ko paar karke, ham mile bhi to bahut intzar karke,
koshis to har baar yahi tha, uss ummeed me kya pta kya sahi tha...
bas dobara tumse mulakat karne ka junoon sa daudta tha,
sirf ek jhalak dekhne par tumko, sukoon sa milta tha...
kitna bebas tha mai kitna majboor tha,
khud ki sirf auro ki baaton me choor tha...
bas wahi to mera gunaah tha jiski sja mujhe mil gyi,
ek ek chhod ke chale gye bas mai aur meri tanha zindagi rah gyi...
phir ek roj aisa bhi aaya ki ham dobara mile,
akhir wo pal aa hi gya jiske liye maine the apne honth sile...
ab hosh thikane par hain,
aur hm deewaane se hain...
ab mujhse koi galtiyon ki gunjaaish na karna,
beshaq bharosa na karo par chhod ke jane ki kabhi numaaish na karna...
arse baad ab dil ke shahar me raunak hai aur hmare chahre hain Khushi se khile...
aakhirkaar ham dobaara mile..."


© nainshi anand