iss chaardiwari ki khidaki se dekha hai!
Panchi ko ugte suraj ko awaj lagate dekha h,
Aasaman ko chand bulate dekha h,
Raat me Taaro ko chup kr aate dekha h ,
Bheti hawa me patto ko chalte dekha h,
Dekha h , raat me badalte mausam ko ,
Is chaardiwari Ki khidki se dekha h!
Kal ko aaj ,or aaj ko kal bante dekha h,
Ghadi ko do baar shi waqt dikhate dekha h
Ruki Pagdandi me dhul ko aate dekha h,
Yaadon ko kitabo me rukte dekha h ,
Dekha h, gujare lamho me tasveero ko !
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
Badalo me chupi hui barish ko dekha h,
samndar me chuti hui lehar ko dekha h,
Rasto me ruki hui manjil ko dekha h,
Kinare me rukti hui kasti ko dekha h,
Dekha h, safar me badalte musafir ko!
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
Rasto Ko sham hote ghr jate dekha h.
Chalte Kadmo ko thakar baithe dekha h,
Sasanso ko fursat me aram krte dekha h,
Sukoon ko uljhano se upar uthte dekha h,
Dekha h, sapno me puri hoti umeedo ko!
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
-Arya
© All Rights Reserved
Aasaman ko chand bulate dekha h,
Raat me Taaro ko chup kr aate dekha h ,
Bheti hawa me patto ko chalte dekha h,
Dekha h , raat me badalte mausam ko ,
Is chaardiwari Ki khidki se dekha h!
Kal ko aaj ,or aaj ko kal bante dekha h,
Ghadi ko do baar shi waqt dikhate dekha h
Ruki Pagdandi me dhul ko aate dekha h,
Yaadon ko kitabo me rukte dekha h ,
Dekha h, gujare lamho me tasveero ko !
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
Badalo me chupi hui barish ko dekha h,
samndar me chuti hui lehar ko dekha h,
Rasto me ruki hui manjil ko dekha h,
Kinare me rukti hui kasti ko dekha h,
Dekha h, safar me badalte musafir ko!
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
Rasto Ko sham hote ghr jate dekha h.
Chalte Kadmo ko thakar baithe dekha h,
Sasanso ko fursat me aram krte dekha h,
Sukoon ko uljhano se upar uthte dekha h,
Dekha h, sapno me puri hoti umeedo ko!
Is chaardiwari ki khidki se dekha h!
-Arya
© All Rights Reserved