...

8 views

Mujhe tab bhi yaad hoga
Shayad saalon baad mein tumhe yaad rahu ya na rahu, par tum mujhe yaad tab bhi hogi,
Kal ki mulakat bhul jaate hai, par mujhe humari pehli mulakat tab bhi yaad hogi...

Kayi chehre dekhe hai aur kayi bhul gaya hun, lekin tumhara woh chehra mujhe tab bhi yaad hoga, tumhara yun dheere se muskurana mujhe tab bhi yaad hoga...

yun toh kayi sitaron ko chamakte dekha hai, par tumhari aankhon ki chamak mujhe tab bhi yaad hogi..

Kayi awaazon ne dastak di hai kaano mein, par jo bas gayi hai woh awaaz tumhari hai,
tumhara woh bolne ka andaz tab bhi yaad hoga...

Theher chuka hai mere labo pe jo, woh naam tumhara mujhe tab bhi yaad hoga

Kabhi kaam ke silsile mein toh kabhi yu hi zindagi ke baare mein, tumse ghanto baat krna mujhe tab bhi yaad hoga...

tumhara woh befikar sa mijaaz mujhe tab bhi yaad hoga
tumhari tasveero ka khazana mere paas tab bhi hoga
tumhari yaadon ka pitara mere saath tab bhi hoga

Toh kya hua agar tum mere paas nhi ho, tumhare na hone par bhi hone ka ehsaas tab bhi hoga

shayad saalon baad mein tumhe yaad rahoon ya na rahoon,
mere zehen mein tumhara khayal tab bhi hoga...

© Highlighter