...

3 views

likhna hai mujhe...
Likhna hai mujhe..
Likhna hai mujhe woh sab jo kabhi kaha kahi kisi se
Woh sab jo bus zuba pe aate aate ruk chuke the
Likhna hai woh jo galat hai par main inke liye kuch bol nahi pai thi
Kehna hai apni kawitao mein kahaniyo mein woh sari baatein ho kehna zaruri
Ki agr koi chup hai apne upar kiye gaye zulm ke liye
To Yun chup rehna uski koi mazburi hai
Awaz to sab ke pass..
Bura sabko lagta hai......
Jab koi hamari begair marzi ke jab chuta hai ........
Hawas bhari nazro ke hame dekhta hai.........
Hum chup ho jate hai ki kya hoga bolke unhe unka to wahi kaam hai
Par unhe pata hai ki in rakshasho ka sirf ek hi anzam hai.....SAZA..
To daro us din se jis din hum darna bhol jaye
Apne inhi pairo se tumhe Zameen ki dhool chalhaye
Daro us waqt se ke jab sima par hogi
Tab aurat ki izaat ka khatra nahi balke unhe gale mein haar hoge
Likhna hai un maa baap ko yeh batana hai ki
Jab beti ghr se niklti hai to jitna khyal usse apni izaat ka hota hai utna kisi ko nahi hota.....
Un maa baap ke liye likhna hai ki bus beti padhao se bus ab duniya nahi chalegi
Unhe ab zameen se asaam hi udaan bharna sikhana hai
Sikhana hai kese khadi ho woh khud ke khatir
Jab bhi burai dekhe sehne na de kisi ko
Mazhab ka to bus naam hai alag alag par
Beti to har ghar ki shaan bhani hai
Shaan bani hai abhimaan bani hai
Roshan rakhe Jo naam tera jag mein
woh apke liye aapka abhiman banti hai
Shaan bani hai
Shaan bani hai.
© Z@in@b~
#lifelesson #hdd
#proudfeeling #daughters #YoungIndia #youthsWithADifference #standupforyourself #StandforTruth #Writcopoem....