...

7 views

dhoondh Raha hoon.....
apni manzil apna muqaam dhoondh Raha hoon.....
apne is dard ka naam dhoondh Raha hoon.....
bhatak Raha hoon rahon me kabse.....
apne dard e dil ka aaram dhoondh Raha hoon.....
saboot maangta hai ye zamana meri mohabbat ka.....
main apne aansuon ke nishan dhoondh Raha hoon.....
kahin to hoga koi aks mera bhi.....
main teri mehndi me apna naam dhoondh Raha hoon.....
har raah se guzarne ko bhi taiyar hoon.....
main bas us raah pe Tera saath dhoondh Raha hoon.....
tu kahe to main bikne ko bhi taiyar hoon.....
main bas apne munasib daam dhoondh Raha hoon.....

__voice of heart