...

0 views

Ek kahani likhi thi~
Ek kahani likhi thi,
Apnon n apnon ki,
Yeh zubaani thi kaafi puraani,
Logon ne yeh kahani kaafi suni thi.

Ek raja aur ek Rani ki.
Us kahani mein sirf khushiyaan dikhayi thi,
Us kahani ki ek apni sachayi thi.
Logon ne toh bas usee adhura dekha tha,
Usee na jaancha, na parkha tha.

Yeh kahani hai us zamane ki,
Jahan zulm haathon se kiye jaate the,
Jubaan ki jarurat nahi thi.
Ab ke daur ki toh jubaanein talwaron ki tarah tez hai zulm karne ke liye,
Haathon ki jarurat nahi.

Yahan toh bas ek nazar ki pher hai,
Kon jaane kisne kya chupaya?
Bas yahan sabhi ek dusre se ranjish mein hai,
Kon jaane kisne kisko kitna jalaya.
Aaj toh sirf barbaadi dekhi hai,
Abadi mein chupi hoshiyaari dekhi hai.
Aaj toh aankno mein sohle dekhe hai,
Har Ghar ko jalate log dekhe hai.
Meethi khatti baatein kon karta hai,
Yahan toh bs saare chupe rustam hai.
Koi kisi ki Khushi mein khush nahi,
Bas apne apne ki padi hai.
Yahan toh bs badle ki aagein julaash Rahi hai,
Yahan koi maaf karne wala nahi.

~✨

© Shines