...

25 views

Ek Mauka
Woh safar hi kya jo manzil se zyada khubsurat nahi,
Woh kitabon ke panne hi kya jispar tumhare alfaz nahi,
Woh waqt hi kya jisme tumhari jhalak nahi,
Woh zuban hi kya jispar tumhara zikra nah,
Tum caho to hamse kuch bhi kehlo,
Magar meri yeh ek baat sunlo,
Ki sitare bhi hamse puch kaar asman me jagmagate hai,
Barish ki bonde bhi hamse puch kaar zamin par girti hai,
Aur samandar me lehre bhi hamari marzi se hi uthti hai,
Phir tumse yeh kisne keh diya,
Chalo chodo, tumne yeh maan hi kese liya,
Ki woh kabhi pyaar thaa hi nahi,
Hamari khamoshi ko kese tumne nafrat samaj liya,
Ham maan hi nahi sakte us khoobsurat rishte ko tumne kese thukra diya.

Ek waqt hua karta thaa jaab,
Tum keht rahe haam sunte gaye,
Tum samjate rahe haam samajte gaye,
Tum ruthte gaye haam manate rahe,
Tum rulate rahe hum rote gaye,
Hame kabhi kuch kyu na kehne diya, bas sunne ko kaha,
Hamari maujudagi ko dekh kaar bhi kyu andekha kiya,
Phir hamari gayrmojudgi ko tumne dil par kyu liya,
Tumhe samajne ka ek mauka taak nahi diya,
Toh phir kis buniyadi par tumne yeh samaj liya,
Ek mauka toh diya hota hame dene ko gawah,
Ki woh nahi thi hamari bewafaai
Haan....woh nahi thi hamari bewafaai....

Dhruvi Kantariya