...

2 views

VACCINE
Hum corona ki vaccine dund rahey hey
Lekin nature insaan ki vaccine dund raha tha
Insaan ne duniya ki thabiyath karab kardi thi
Corona ne insaan ki halath kharab kar diya
Corona insaan ke liye vish ban gaya
Baki jeev jagath ke liye amruth ban gaya

Bandar se insaan thak ka safar mey jaane kithni keemthi cheez iss duniya se gayab ho gayi
Haribhari zameen ko paise ke liye banjar bana diya
Jungle ki jeev ko apni manoranjan ke liye kaidi bana diya
Tandi hawa ko dhuye se bhar diya
Apni wifi ke liye panchiyo ka network kaat diya
Jiss ganga mey khudh ko pavithr kiya ussi ko gandi kar diya
Khudh ka ghar banakar maasum jaanwaron ka ghar cheen liya
Pathar se aag jalane thak ke safar mey
Saari duniya ko apni swaarth ki aag se jaladiya

Adhi manav se lekar manav thak ke safar mey
Khudh ko aise badal diya ki daanav bhi dekar sharmajaye
Asli rakshas tho insaan he tha
Zaroori nahi hey ki rakshas ka dho seeng, lambi naak, bade bade daanth ho.

Mukhauta badalne se lekar muh chupane tha ka safar
Rang badalne mey subse mahir janwar insaan hey
Muh ke peeche hazar mukhaute pehenthe hey
Isliye inke asliyath duniya ko samajh nahi aya
Jub aya inka muh mask se chupa diya
Insaniyath ko aise maar dala aaj hum khudh ke ghar mey he kaidh hey
Duniya ki ali bimari tho insaan tha corona nahi

© Poetry explains words 0f life