...

2 views

Jab rishto mei takrar ho...Wo bachpan yaad aata hai
Wo bachpan yaad aata hai
Jab maa ke gaud mei soya hum karte the
Wo sir pe haath pherna
Wo hug wo pyar unka
Ab chah kar bhi pyar nahi jata wo paati hai
Kya wo aaj itna daarti hai
Kyu wo itni sehmi si aaj rehti hai
Hak hai unko apne hisaab se rehne ka
Hak hai unko bhi apni zindagi jeena ka
Kyu sawaal uthta hai unpe
Kya nahi unko ehsaas apne hone ka ?

Wo bachpan yaad aata hai
Jab papa seena taan ke hak humpe jatate the
Wo haasa wo manana unka
Wo kandhe pe beith, ghumana unka
Ab chup se wo kyu rehte hai
Hak hai unko muskurane ka
Hak hai apni baatei samne rakhne ka
Kyu darte hai kuch kehne ko
Kya nahi feelings unko aaj ?

Wo bachpan yaad aata hai
Jab lad jhagad paas aate the bhai tumhare
Wo time apna
Wo baatei apni
Ab kyu nahi wo pal apne
Hak hai tumhei bhi kuch kehne ka
Hak hai aaj phir tumko mujhe gale lagane ka
Kyu saath ki kami hoti hai ab
Kyu chah kar bhi time nhi hai ab
Kyu itni duriya aa gai hai humse ?

Kya meri dor jo tumse judi hai
Aaj ho gai hai itni kamjoor
Wo pal saalo ke, yaad aate hai phr
Wo saath humara
Wo trips humare
Kyu badal jaate hai shaadi ke baad ye batana ?
Kya nahi raha wo pyar
Ya daar ne maar li bazi humari
Wo bachpan yaad aata hai
Jaha sukoon tha harpal
Na daar tha, na narazgi thi
Na kisiko kuch dikhana tha
Na kisiko kuch jatana tha
Zindagi jeene ki, baas wahi tou ek pehchaan thi
Wahi tou ek sachhai thi
Hum apno ke beech
Wahi tou ek dor thi


© All Rights Reserved