...

21 views

pita!!
Kuch toota hai,
kuch khatm hua
kuch yaad banke
dil me dafn hua.

Kuch soonapan,
ek sannata,
aankho me nami
hai de jata.
wo door chale jaate hai jo
unka phir se na aa paana.

Alfaaz mere kam padte hai
unke samarpan ko kya
samarpit karu,
wo the to hum
kuch ho paaye
unki garima ka kya kahun.

Jab bhi wo yaad aate hai
sina garvit ho jata hai,
unke jayse kuch ho jaau
dil bas yahi chahta hai.

Aa laut chalein phir bachpan me
kuch samay aur mil jaye,
vo bolein kuch,
hum kuch sunlein,
thodi aur zid kar jayein.
kuch yaadein aur samet le,
kuch seekh lein thoda aur,
ek baar agar phir mil paayein
to dil bhar le thoda aur!!
kiran :(