...

13 views

Tere Mere Darmiyan❤
Tere mere Darmiyan Aksar Khamoshiyaan Baatein karti hai💕



Jab utre chaand Aangan me to raatein baat karti hai.. 💌


Wo chehra khoobsurat hai wo Ankhein baat krti hai.. 💝



Safar ka hosla kaafi hai manzil tak pohanchane ke liye.. 👐


Musafir jab Akela ho to raahein baat karti hai.. ❤


Bin Kahe Jab koi baatein samajhne lagta hai dil ki to.. bas fir dil se dil ki dhadkan baat karti h.. 💗


Me yahan tumhe sochu or wahan tumhe mehsoos ho jaye.. 🤗 Us Darmiyan fir hamari yaadein baat karti hai.. 💞


Manzil ki fikar fir kisko hai? jab haanthon me hanth tumhara ho.. 👐



Hum Aamne samne ho fir jazbaat me lipte bas hamari saanse baat karti h..💗

© 📝Ayana 🌈