...

5 views

Tere bina
Ab toh tere bina har dard me bhi khud ko khamosh rakhta hun ,
in hawaon ke bich se nikalti dhup bhi tere bina kuch kam garam si lagti hai,
Ab toh tere bina apni chai ko bhi thandi hone deta hun aur phir bina garam kiye hi pee leta hun ,
Hawayen jo bikhar de inn baalo ko to yun hi inhe tere bina bikharne deta hun,
Tu guzare ya na guzare inn galiyon se phir bhi ussi mod par baith kar tera intezaar tere bina hi kiya karta hun ,
Inn guzarati shaamon ki tarah guzar jayegi ye zindagi bhi tere bina yun hi Ab toh yhi dilasa khud ko diye baitha hun...
© #onlymuskan