...

18 views

2 february 2023 wala khat
mila wo pehla khat mujhe
kisi ajnabee se,
jisse na jaan pehchaan thi kabhi
or na kbhi hui baat usse,

fir bhi na jane kyu
uss ajnabee ka khat dil k kareeb
jaa laga,

jyada kuch nhi likha thaa usme
bas uss khat me
mera sirf haalchaal hi poocha gya tha
fir bhi na jaane ku
apna sa mehsoos hua

uss khat ke zariye ussse batana thaa
mujhko ki mere na hone ka ehsaas h kisi ko.
kbhi na bhulane wala khat
© chhavi saraswat🌠
#shlok shandilya