...

24 views

Adhure sapne
Sapne dekhe the jo dil se,
Dil me hi rehgyae
Udaan toh bhari thi aasma ki aur,
Magar raasto me hi pankh kat gaye.......

Roshni toh dikh rhai thi ,
magar raaste patthar ke the
Manzil bula rahi thi isliye girte sambhalte chalte rahe.....

Mere sapno ka kadd dekh,
Manzil bhi muskura raha tha
Phir bhi uljhano ko suljha kar ,
main aage badha chala jaa rhaa tha......

Zindagi se waqt nikal kar,
sapno ko deraha tha
Isi daudhoop me din rat ka safar taye karraha tha........

Majboori toh aisii thi ,
Haar ka dosh kisi ko de bhi nhi pata thaa
Manzil mazaak udati thi,
Magar phir bhi majn usi ki taraf kadam badahta tha ......

Har baar harta thaa ,
Magarr aakh phir bhi usi se milata tha
Raaste bahut kuch cheen lete the mujhse ,
Magar main phir bhi muskuarata hua chalta chala jaata tha, chalta chala jaata tha.......