...

7 views

MIDDLE CLASS
Ji mai middle class,
Pani ka ghda aur ek steel ka glass
ji ye kahani hai bdi khas ..
Ek aadmi 2 pehchan .

jiii mai middle class ...
Har baar hota hai ehsaas
Na raja aur na hi mai koi underclass
Bss yehi to hai baat.

ji hum khud ke liye nahi,
Logo ki soch ke liye jeete hai
mehmano ke liye bna sharbat
Kai bar hum chote pyale mai pite hai.

Beta paise na mang
Filhal nahi hai pagar .
Thoda adjust krna sikh
Un jaisi humari na hai aukat .

Mai har jagh hu
School mai aapka dost hu
Aapke sath hasta gata hu
Paiso ki baat aayi to das baar sochta hu.

Haa mai middle claas Hu .

Ladka ghar ka bada hu
Kisi ka bada bhai bhi hu
Kandho pe hai jimedari
Thoda satark rehna pdta hai from yaari.

Hostel mai rehta hu,
Mess ka khata peeta hu
Sham mai jab ghar phone krta hu
ye baat pakka sunta hu ...
Ki
ghar ke halat tu janta hai
Akela tera baap kamata hai
Tu jra smhal ke rehna
Tere kandho pe karja bda hai.

bss baki zindagi badi khass hai
Vada pav ka sath hai
Mofat ki hawa hai
Upar wale ka aashirwad hai

Bhai hum to middle class hai.
....

Soham P. Mungikar.

© All Rights Reserved