...

4 views

Haqeeqat-e-Zindagi (Truth of the Life)
Kya bemisaal waqt hai,
Jo guzarne ka naam nhi le Raha,
Chahta hun woh guzar jaaye,
Par har chahtein poori hojaye yeh jaruri nahin.

Us pehlu ko samjhna mushkil tha,
Jab humne woh manzar dekhe the mahinon pehle,
Aaj jab khudpe aayi hai toh,
Samjhte hai kya guzri hogi un par.

Zare se kya puchna hai,
Mitti se pucho,
Jisne banaya hai,
Wahi wapis bula leta hai.
Maut ki chahat nhi humein,
Par waqt humein uske darwaze le hi jaata hai,
Gunehgaar ho ya na ho,
Ek waqt bhi aata hai jab Naik insaan ko bhi gunehgaar bana diya jaata hai.

Us farishte ki baat na Karo,
Jo kal aaya tha mere paas,
Meri haal puchta reh gaya,
Aur main kahin aur hi kho gaya.
Woh zamane bhi kya hi yaad rakhenge humein,
Hum toh na Aaj kisi ke hai,
Na kal kisi ke honge,
Jo apne the woh bhi nahi rahe,
Ab kya hi umeed hai kisi se.

© Shines