...

30 views

Beti
Is ghar ki beti hu , par hu toh ek paraya dhan hi ,
Is ghar me janmi hu , par zindagi toh bitana hai kahi aur hi ,
Is ghar ke beto se hu main choti ya badhi , par haq toh hai unka hi ,
Is ghar se nata mera khoon ka , par mujhse parayi toh aur koi nahi ,
Is ghar ki beti hu , par hu toh ek paraya dhan hi .

Shayad isliye hi , di na mujhe kisine barabar ki khushi ,
Shayad isliye hi , thi main hamesha murjayi hui ,
Shayad isliye hi , main kabhi tumhare khayalo me nahi ,
Shayad isliye hi , main tumhare fikr me nahi ,
Shayad isliye hi , main tumhare zikr me nahi ,
Is ghar ki beti hu , par hu toh ek paraya dhan hi .

Ek din vida ho chali jaungi ,
Phir chaho bhi toh saath na hopaungi ,
Is baat ki gehrai shayad kabhi samajh lete tum sabhi ,
Toh beti vida ho kar dil me basaye rakhti tum logoko bhi ,
Par tumhe beto me aur beti me fark karne se fursat hi kaha thi ,
Jane anjane me bhar di nafrat pure dil me zindagi bhar ke liye tum logoko ne sabhi .

Is ghar ki beti hu , par hu toh ek paraya dhan hi .

- Divya Soni (expressed_emotions)

#divya_soni #expressed_emotions #writco #WritcoPoem #daughter #women #girl #discrimination #society #genderinequality #inequality #torture #family #parents #siblings #mentalharassment #mentality #lowthinking #lowstandard #uneducatedpeople #educatedfoolish #illiterate #feminism #giveequality #fakefamily #fakeparents #fakefeelings