...

4 views

Pata nahi ki kya mujhe hota ja raha tha
Pata nahi ki kya mujhe hota ja raha tha
Dil❤️ baar-baar unke khayalon mai khota ja raha tha
Kux nahi lagte the wo mere, per mai har pal sirf unka hota ja raha tha
Din ka chaien or Raaton ki neend mai khota ja raha tha
Pata nahi ki kya mujhe hota ja raha tha

Man apna mai kahi laga nahi paa raha tha
Kaam mujhse kux ho nahi paa raha tha
kyunki mai bas unke khayalo mai khota jaa raha tha
Yu to janta tha mai jise maine chaha hai, Wo kisi aur ko chah raha tha
Phir bhi mai sirf unka hota jaa raha tha
Pata nahi ki mujhe kya hota jaa raha tha

Ab to bas unka hi nasha mujhe hota ja raha tha
Wo aage-aage or mai unke piche-piche ja raha tha
Fever mujhe unka aise cha gaya tha, har taraf bas unka chehra najar aa raha tha
Har dua main, mai bas unhe maang raha tha
Kux iss kadar mai unka hota jaa raha tha
Pata nahi ki mujhe kya hota ja raha tha.....
© P_aRya