...

1 views

Khud ko itna mat bachaya kar
Khud ko itna mat bachaya kar
Baarish ho to bhig jaaya kar
Dusro ki baato par dil ko na dukhaya kar
U Phoolo ki tarah na murjhaya kar
Khud ko itna na sataya kar
Kyu krta h suraj ka intezar
Khud hi suraj ki tarah jagmagaya kar
Maana raaste lambe h aur zindagi chhoti h
Pr Kabhi khusiyo ki raaho mei bhi aaya kar
Khud ko itna mat bachaya kar
Dil lagane ko kisne kaha hai
Kbhi dosti ka hath to milaya kar
Maana dard bahut hai iss dil mei
Iss tarah isse aasuo mei na bahaya kar
Kbhi to kisi ko zindagi ka haal sunaya kar
Khud ko u na tadpaya kar
Har dard e dil ka ilaaz hai khushi
Isse gum ke tale na dabaya kar
Kabhi to muskaraya kar
Khud ko itna na chhipaya kar
Maana Zindagi bahut uljhi hui hai
Uske sawalo mei khud ko u na uljhaya kar
Kbhi to kisi ko apna bnaya kar
Khud ko itna na bachaya kar
© Pallavi Garg