...

4 views

"Ek kirdaar tha mera "
ek kirdaar tha mera
jise mai sajati rhi

kaaton k raah s gujarne k baad bhi mai muskurati rhi
rooh ko apni
gulab ki mehak s sajati rhi

ek kirdaar tha mera
jise mai sajati rhi

chun chun kar
sitare lagaye the mne jis libaz pe
Kamiyon k rang s rang Diya tha
Zamane ne tyohar pe!!

Lad lad k khud s
mne khud ko majboot banaya tha
mehnat kar ke bhut siddat s
khud ko mne keemti banaya tha

awaaz tab ayi
aur mehfil goonj uthi..
jab apno ne kaha
iska to sab samaan udhar mai Aya tha!!
wo kirdaar tha mera
jise mne apne haathon se sajaya tha.


keh keh kar jab thak gyi Mai
jamne ne phir bhi mera majak banaya tha
prasn chinh mere hone pe lagaya tha

fir kya
tod diye mne sare rishte iss smaj se
ab to khud ek Kohinoor mujhse rishte nibhane Aya tha....

ek kirdaar tha mera
jise mai sajati rhi

Jeet le gaye the jo ...
wo baazi,
ek khitaab lekar
aj mujhse dosti krne
khud ek farishta Aya tha !


ek kirdaar tha mera
jise mai sajati rhi...

#poem
#self_love


s.k..i♥️
© pratibha_oct