...

3 views

Pahli Mulakat
Jab unse Hui thi phli mulakat ,to kitna khushnaseeb samjha tha maine khud ko .
unki ankho me khoyi or baato me uljhi hi rah gyi,
wakhat to ese beeta jaise palk hi jhapkayi ho..kya karti rok nai sakti thi unko.. to socha bas ankho me basa lu unke masum chahre ko, kitna pyar bhara tha usme meri ek jhalak k liye..phali baar ka milna kuch alg hi pagal kar deta h..
pet me gudgudi si uthati hai, Dil ki dhadkan badhti h.. saanse bhi tham jati hai, kuch bhi sunayi nai deta sab kuch thahr sa ja jata h
vo aye ghata chhaiyi.. charo or se phoolon ki khusboo ayi.. Mausam ne bhi rukh esa palta, mano basant ne ho nayi kopal bikhrayi..
Bhut sunder hai ye pyar jo aj bhi zindagi me ek nayi tarang le ata h..yahi to hai jo hme insaan bnna sikhata hai..